Tum aao to hum bhi EID karen
Hasrat hai tumhari deed karen,
Kuch dair to dil ko chain milay
Kuch roz to mann k phool khilen,
Kehtay hain k EID ki aamad hai
Hum log bhi kuch taaeed karen,
Tum se ik ye guzarish hai
Ye apnay dil ki khwahish hai,
Ik bar milo Ik bar milo
Har baar ye hi taakeed karen,
Maana k hum deewanay hain
Sab baaton se anjanay hain,
Jab apnay bhi beganay hain
Kiya ghairon se umeed krain,
Tum aao to hum bhi Eid karen
Tum aao to hum bhi Eid karen.
Hasrat hai tumhari deed karen,
Kuch dair to dil ko chain milay
Kuch roz to mann k phool khilen,
Kehtay hain k EID ki aamad hai
Hum log bhi kuch taaeed karen,
Tum se ik ye guzarish hai
Ye apnay dil ki khwahish hai,
Ik bar milo Ik bar milo
Har baar ye hi taakeed karen,
Maana k hum deewanay hain
Sab baaton se anjanay hain,
Jab apnay bhi beganay hain
Kiya ghairon se umeed krain,
Tum aao to hum bhi Eid karen
Tum aao to hum bhi Eid karen.