Skip to main content

Mujeh Ye Zid nahi mere Gally ka Haar ho jao

Mujeh Ye Zid nahi mere Gally ka Haar ho jao
Akhela Chor dena , tum jahaan Be-zaar ho jao,

Bhot Jaldi Samajh mein aany lagty ho Zamane ki
Bhot Aasaan ho, thory Bhot dushwaar ho jao,

Mulaqakto mein wafa ls liye hona zaroori hai
Ke tum ik Din Judaaee ke liye Tayaar ho jao,

Main Kesi Chal chalati Dhoop ke Sehra Se aya hoon
Bas ab Esa karo , Tum Saya-e-Dewaar ho jao,

Tumhary paas deny ky liye jhoti Tasali ho
Na Aay Esa Din , Tum isqadar Nadaar ho jao,

Tumhy Maloom ho jaye ga Kese Ranj Sehty hai
Meri itni Duaa hai Kaash tum Funkaar ho jao. 

Popular posts from this blog

Dard kia hota hai...

Dard kia hota hai btayein gein kisi roz Kamal ki ghazal tum ko sunaein gein kisi roz, Thi unki zid k mai jaun unko manane Mujko yeh veham tha vo bulayein gein kisi roz, kabi b maine to socha b nahi tha Vo itna mere dil ko dukhaein gein kisi roz, Har roz aieene sey yehi poochti hun mae Kia rukh pe tabassum sajayein gein kisi roz? Urney do in parindon ko azaad fizaon mein Tumhare hon agar to lout ayein gein kisi roz, Apne sitam ka dekh lena khud hi Saqi tum! Zakham e jigar tamaam log dekhein gein kisi roz !

Tum aao to hum bhi EID karen...

Tum aao to hum bhi EID karen Hasrat hai tumhari deed karen, Kuch dair to dil ko chain milay Kuch roz to mann k phool khilen, Kehtay hain k EID ki aamad hai Hum log bhi kuch taaeed karen, Tum se ik ye guzarish hai Ye apnay dil ki khwahish hai, Ik bar milo Ik bar milo Har baar ye hi taakeed karen, Maana k hum deewanay hain Sab baaton se anjanay hain, Jab apnay bhi beganay hain Kiya ghairon se umeed krain, Tum aao to hum bhi Eid karen Tum aao to hum bhi Eid karen.